Inner
Drive
Main Obadiah hoon
Main Itam hoon
Main Anastasia hoon
Main Lizeth hoon
Duniya bhar mein premiere
inDrive ne apni film ko mustanad Autocinema Coyote mein pesh kiya. Hum ne Red Cross ke sath ta'awun kiya aur apne mehmanon ko mehfooz driving aur apne difa ke usoolon par wazahat di. Yeh hamari hero Lizeth ki kahani se mutasir hai jo apne shehar mein community ki fa'aal tor par madad karti hain
inDrive ne apni film aam logon aur Beginit talaba ke samne pesh ki. Hum ne un tamam logon ke liye aik khula event rakha tha jo global development mein dilchaspi rakhte hain aur aam taur par mazeed maloomat tak rasai hasil karne ke liye jadojehad karte hain. Hum unki hausla afzai karna chahte the aur unhein apne maqasid par amal karne ki targhib dena chahte the. Numayish Lagos ke Silverbird Cinema mein hui jahan 100 se zyada afrad ne shirkat ki
IQRA University mein hamari launch screening ne 500 talaba ko film dekhne ka mauqa faraham kiya. Screening ke baad moazzaz mehmanon ke sath aik dilchasp panel discussion hui
Hamari launch screening jo AlmaU aur KAU universities mein hui, us mein 500 se zyada talaba ko yeh film sab se pehle dekhne ka mauqa mila. Screening ke baad, talaba ne aik panel discussion mein hissa liya jahan maqami sahafi aur film director, jin mein Asim Zhapsheva aur Murt Daniyar bhi shamil thay
Drivers sirf hamari film ke heroes hi nahi hain: wo apne shehron ke bhi heroes hain. Hum ne Waste4Change ke sath mil kar aik mohim shuru ki jis ne users ko shehar ke mahol ko behtar banane mein apna hissa dalne mein madad ki. Har musafir ki taraf se li gai har chothi ride ka kiraya Jakarta ke qareeb safai mohim ke liye donate kiya gaya. Hamare drivers, employees, aur community members ne 60 kilo kachra ikattha kiya
Inner Drive film ko pehli dafa Cairo mein badi screen par Arabi zubaan mein dikhaya gaya
Is film ne apna debut Morocco ki badi screen par kiya
Hamari documentary film ka premiere Algeria mein badi screen par hua